Namaskar doston jaisa ki aapko pata hai ki Navratri aane wali Hai aur ine 9 dinon mein Mata Sherawali ki Puja,vrat aur upvas kiye jaenge. Navratri Pujan kaise karen 2023.

Aaj ki post aapke liye bahut hi labhkari hone wali Hai ismein ham aapko bataenge ki Navratri mein kaise karen maa Sherawali ka Pujan aur Navratri 2023 kaise karen, vrat, upvas aur Mata Sherawali ki Puja Navratri mein kin kin baton ka Vishesh Dhyan rakhen.
2023 mein Navratri kab se prarambh hain :-
Is bar 2023 mein Navratri 15 October 2023 din ravivar se shuru hokar 23 October din Somwar ko samapt honge.
Navratri Pujan 2023 mein Navratri kitne din Hain :-
Doston is varsh 2023 mein pure 9 din tak Navratri manae jayegi na Ek bhi din kam aur Na Ek bhi din jyada.
Navratri Pujan 2023 mein Mata kis Swaroop mein aaenge :-
Doston aapko Bata Den 2023 mein Maa Durga hathi per sawar hokar Prithvi lok per aaenge shastron mein likha Hai aur manyataon ke anusar agar sardiye Navratri per yadi Mata Durga ka aagman unke vahan Singh per nahin hathi per hoga to Manyata hai ki Mata Durga ka hathi per sawar hokar aana bahut hi Shubh aur kalyankari Hoga.
Navratri 2023 mein Kin Kin baton ka Vishesh Dhyan rakhen :-
- Sabse pahle Navratri se pahle hi mandir ki saaf Safai kar le.
- Mandir ke andar agar purani malaen aur tuti futi moortiyan hain to unhen hata dein.
- Ghar mein chhote bacchon ko Navratri ka vrat nahin rakhna chahie.
- Navratri ke pure 9 dinon ghar ko saaf suthra rakhna adhik avashyak hai.
- Navratri ke 9 dinon mein bhakton ko pyaj, lahsun,mans aur madira Se dur rahrna hai.
- Gangajal ka chhidkav jarur Karen vah bahut hi Shubh Mana jata hai.
- Ghar mein bekar pada saman bahar nikal Den vah bhi nakaratmak urja Lata hai.
- Man ki aagman ke liye Ghar per darvaja jarur sajaen.
- Fata Hua kapda nahin bichhana Hai.
Navratri 2023 mein pujan kaise karen :-
- Navratri 2023 mein Pujan karne ke liye aapko subah uthkar fresh hokar Naha kar acche kapde pahan kar Mandir jakar Mata Rani ki Puja karni hai uske bad Ghar Aakar Apne Mandir mein Mata Rani ke Puja karni hai aur apne acche jivan ki Kalpana karte hue Mata Rani ki jyot mein laung ke jode chadhane Hain.
- Puja subah aur Sham donon baat karni hai Mandir sirf aap subah ko ja sakte ho sham ko bhi ja sakte ho agar aapke pass paryapt samay Hai To.
- Puranon ke anusar aapko ine 9 dinon mein bahut savdhani bartani hai aisa karne se aapke aadhyatmik shakti badhati hai aur sath hi sath Mata Durga bhi bahut adhik Khush rahti Hain.
- Devi Puran ke anusar bataya gaya hai ki yadi aap vrat upvas Devi Puran mein bataye Gaye tarikon ke anusar nahin karte ho to aapko unka fal nahin milta Hai.
- Doston yah Thi hamari Navratri Pujan 2023 mein kaise karen ummid hai aapko sab samajh mein a Gaya hoga to ise Apne doston ke sath post ko share Karen.